FAROZAAN

Friday, March 27, 2009

KITNE AJAB TAMAASHE HAIN IS DHOOP-CHHAANV KE



TANHAAYIYON MEN KAR LIYA MAIN NE SUKUN TALAASH
HAR SHAY YAHAAN MERE LIYE IK ANJUMAN SI HAI

MUJHKO BHI IK KHULA HUA MAIDAAN CHAAHIYE

KAMRE MEN APNE KHELTA HUN GEND SE AGAR
KHATRA HAI KITNI CHEEZEN YAHAAN TOOT JAAYENGI


KITNE MASAAYEL GHAUR-TALAB HAIN, KIS-KIS KE HAL DHOONDHUN MAIN

MAQSAD KO RAKH KE SAAMNE HAR SHAY BANI ZAROOR
PHIR BHI HAIN USKE AUR BHI MASRAF NAYE-NAYE

Monday, March 23, 2009

HAM ITNE TAJASSUS SE N DEKHEN TO KAREN KYA

KYAA KHOOB BAATEN KARTA HAI HAR SHAKHS AAJKAL
TAQREER HAI KUCHH AUR TO KUCHH AUR HAI AMAL

Saturday, March 21, 2009

KUCHH N KUCHH KOSHISH TO KARNA CHAAHIYE

ILM KE AADAAB HAIN LAUH-O-QALAM
ILM SE RAUSHAN HAI DUNIYA-E-KARAM

HAR SHAY KA IS JEHAAN MEN HAI MAQSAD-E-VUJOOD

GHAUR-O-KHAUZ KARNE SE, RAASTE NIKALTE HAIN
YAANI AQL-O-DAANISH KE, SILSILE NIKALTE HAIN


ZINDAGI MEN SIRF JISMAANI SEHAT KAAFI NAHIN

HAUSLA HO, SHAUQ HO, UMMEED HO, IMKAAN HO
FIKR MEN HO TAAZGI, BAALIGH-NAZAR EIMAAN HO
VUS'ATEN HON QALB MEN, BEDAAR HO ZEHN-O-SHA'OOR
KAASH INSAAN KI SEHAT KA YE SAR-O-SAAMAAN HO

BHEJE HAIN USNE KITANI HIFAAZAT SE KAAGHZAAT

IN DASTAAVEZON MEN VO TAHREEREN HAIN
JINKI TASHREEHEN KARNA NAAMUMKIN HAI

Thursday, March 19, 2009

BARAAHE-RAAST SAMANDAR SE HAM-KALAAM HUN MAIN

BEHR-O-BAR HAIN EK MARKAZ PAR YAHAAN
ZINDAGI KE SAB DAREECHE HAIN KHULE

SHAHSWAARI MEN HAI POSHEEDA SHUJAA'AT KA BHARAM

RAFTAAR TEZGAAM HAI BAATEN HAWAA SE HAIN
LAB CHOOMNE KO PAANV ZAMEENON KE PYAASE HAIN

CHEHRE PE HAI HIJAAB BHI, CHEHRA KHULAA BHI HAI

MERA YE ANDAAZ BHI TO DEKHIYE
PADH RAHA HUN MAIN ZAMAANE KI RAVISH

KHUSH-SALEEQA N HO INSAAN TO KYA LUTF-E-HAYAAT

ROOMAAL SAAF-SUTHRA HO ACHCHHA LIBAAS HO
TEHZEEB KI NAFAASATON KA KUCHH TO PAAS HO

KARTA HUN KHILAUNON KO DEEWAAR PE AAWEZAAN

ZEHN MEN HOTA HAI TAKHLEEQ KI TEHREEK KA BEEJ
AUR TASHKEEL US IJMAAL KI TAFSEEL MEN HAI

Wednesday, March 18, 2009

KARTA HUN MAIN TAMAAM MASAAYEL KE HAL TALAASH

AQLE-INSAAN SE NAHIN KUCHH BHI B'YIED
RAAHEN KAISI BHI HON HO JAATI HAIN SAAF

KARTA HUN YAAD GINTIYAAN SAB KHEL-KHEL MEN

IN DAAYERON KI TARH HAI HAR SHAKHS KI HAYAAT
MARKAZ SE HAI QAREEB BHI MARKAZ SE DOOR BHI

Monday, March 16, 2009

FEETE SE NAAP SAKTE NAHIN ZINDAGI KABHI

HAR SHAY KAA TOOL-O-ARZ BATAANA MUHAAL HAI
NAFSE-BASHAR AZAL SE ABAD TAK TAWEEL HAI


MUKAMMAL FALSAFAA HAI DEKHIYE IS KHEL MEN SHAAMIL

PAANI MEN JAAN PAD GAYI INSAAN KI PHOONK SE
UDNE LAGA HAVA MEN VO GHUBBARE KII TARAH

Thursday, March 12, 2009

KYA-KYA MAZE KI CHEEZEN BANAATA HAI YE BASHAR

ZAHNE-INSAAN KA KAMAAL HAI YE
JAISI CHAAHE KARE KASHISH PAIDA

TAAR-SE-TAAR JUDE HON TO FIZA HO RAUSHAN

RAKHTA HAI APNE PAAS VO IS ZINDAGI KAA TAAR
JAB CHAAHE JODE, JEE MEN JAB AAYE ALAG KARE

MAIN KAR RAHAA HUN FARSH SE GARD-O-GHUBAAR SAAF

NUQSAAN-DEH BAHOT HAIN YE ZARRAAT DHOOL KE
INSAAN KUCHH TO APNI SEHAT KA KARE KHAYAAL

AZEEZ RAKHTA HAI INSAAN FIZA SAMANDAR KI

BANAA KE SAAHILON PAR KHOOBROO RIHAAYISH GAAH
SAMANDARON KII FIZAAON MEN RAH RAHE HAIN LOG

US JAANIB BHI KOYI DILKASH MANZAR HOGA

HIJAAB HO TO HAI LAAZIM KE ISHTIYAAQ BHI HO
MUJHE HAI DEKHNA AAKHIR HAI KYA PASE-PARDAA

YE SHIMLA-MIRCH BHI KIS DARJA KHOOBSOORAT HAI

UGAA RAHA HAI ZAMEEN SE VO NEMATEN KYA-KYA
JAMAAIYAAT KA INSAAN KE IMTEHAAN HAI YE

Wednesday, March 11, 2009

ACHCHHI TARAH MAIN JAANTA HUN APNE RAASTE

LE JAA RAHE HAIN AAP MERA HAATH THAAM KAR
MAIN KIS TARAH KAHUN KE MUJHE CHHOD DEEJIYE

YE APNE-APNE TAREEQE HAIN LUTF UTHAANE KE







ZAAYEQAA AISA NAHIN KHAAS KE MAIN ZIKR KARUN
HAAN MERI TARH SE KHUSH RAHIYE TO LAZZAT HAI BAHOT



BHALI-BHALI SI HAI LAGTI SAMANDARON KI YE RET

N AATA LUTF GAR ISMEN ANOKHAA
MAIN SAAHIL PAR CHEHAL-QADMI N KARTA

MUJHKO TO APNE GHAR KI SAFAAYI KA HAI KHAYAAL

SCHOOL KAL GAYA THA MAIN CHEETE KI SHAKL MEN
CHEETA HAMAARI SHAKL MEN AAYA NAHIN KABHI


KIS ZAAVIYE SE DEKHUN TUJHE ZINDAGI MAIN AAJ

KHUSH HUN KE ZINDAGI KE HAZAARON HAIN ZAAVIYE
JIS RUKH SE DEKHTA HUN KASHISH BE-PANAAH HAI

TALAASHE-NAAKHUDA MEN WAQT MAIN ZAAYA NAHIN KARTA

TAAKHEER HO RAHI HAI BAHOT AAYIYE JANAAB
LAMBE SAFAR PE AAJ NIKALNE KA HAI KHAYAAL

MUHABBATON KE YE ANDAAZ ACHCHHE LAGTE HAIN



HAT PAHNAAYI HAI MUJHKO SHAAN SE
KYA KAROON MAIN ARZ DAADA JAAN SE


YE ISHTEHAAR TO PAHLE BHI MAIN NE DEKHA THAA

BAAZAAR KE TAREEQE HAIN JAAZIB-NAZR BAHOT
JAISE SHAJAR QATAAR MEN HON BE-SAMAR BAHOT

Tuesday, March 10, 2009

SAR TIKAANE KI BHI AB FURSAT NAHIN

KHAALI KOI BHI LAMHA NAHIN USKI FIKR SE
DASTAK HAMESHA SUNTA HUN MAIN USKI ZEHN PAR

SAB APNE-APNE MASAAYEL MEN KHOYE RAHTE HAIN

MERE QAREEB THA VO AUR BE-KHABAR THA MAIN
KE MUJHKO APNI HI FIKRON NE GHER RAKKHA THA

PHOONKI JO ROOH MAAYELE-PARWAAZ HO GAYA

KHAALIQ NE ROOH PHOONKI THI AADAM KE JISM MEN
PARWAAZ KAR KE JIS SE VO AAYE ZAMEEN PAR
MAIN NE JO ROOH PHOONKI HAI GHUBBAARE MEN YAHAAN
JAYEGA SEEDHE-SEEDHE YE ARSHE-BAREEN PAR

MAAYEL ZARAA HUA THA MAIN TAKNEEK KI TARAF

YAHREEKE-FIKRE-NAU SE HUA PAIDA INHEMAAK
VARNA BASHAR BHI HOTA MUSALSAL JUMOOD MEN

KYAA MAZE KII BAAT KI HAI AAP NE

DOOSRON KO DEKH KAR KHUSH MAIN BHI HO JAATA HUN KHUSH
GUFTUGU KHUSHRANG HO TO YE FIZA KHUSHRANG HAI

KABHI-KABHI TO SHARAARAT BHI SOOJHTI HAI MUJHE

MAIN SOCHTA HUN KOI AISA KAAM KAR DAALUN
KE DEKH KAR JISE HO JAAYEN SAB KHAFAA MUJHSE

HAIRAT HAI MERI BAAT VSAMAJHTE HI NAHIN LOG

MERA MAQSAD VO N THA HARGIZ JO SAMJHA AAPNE
MERI CHHOTI-CHHOTI KHUSHIYAAN HI MUJHE DARKAAR HAIN

Monday, March 9, 2009

JAA RAHAA HUN MAIN ZAROORI KAAM SE

YAAD HAI MUJHKO NASEEHAT AAPKI
MUT'M'YIN RAHIYE MAIN RAKKHUNGA KHAYAAL

HAMAARI DUNIYA MEN SAB HAM-KHAYAAL HOTE HAIN

BACHPAN HAREK SHAKHS KO BEHAD AZEEZ HAI
LEKIN KABHI VO USKI TARAF LAUTATAA NAHIN

MAANA KE HOSHIYAAR HO, PAR NAASAMAJH HO TUM

JO HAR QADAM PE SAHAARE TALAASH KARTE HAIN
VO RAAHE-ZEEST MEN KIS TARH GAAMZAN HONGE

SAMANDARON SE BAHOT KUCHH MAIN SEEKH SAKTA HUN

SAFAR KASHTI SE KARNA HAI NAHIN AASAAN SAMANDAR MEN
KE ISKI VUS'ATEN SAMTON KII AAWAAZEN NAHIN SUNTEEN

Friday, March 6, 2009

ZAMEEN PE BIKHRI HAIN KITNI HAQEEQATEN HAR SOO

RAUZANE-KHWAAB SE AATI HAI BADAN KI KHUSHBOO
HAI YAQEENAN YE USI GHUNCHA-DAHAN KI KHUSHBOO




BALANDIYON PE PAHONCHNA BAHOT ZAROORI HAI

BALANDIYON KI TARAF HO JO MAAYELE-PARVAAZ
SUNEGA KAISE BHALA PASTIYON KI VO AAWAAZ

KABHI HAMAARI NAZAR SE BHI DEKHIYE DUNIYA

CHAMAK HAI AANKHON MEN, LAB PAR TABASSUMON KAA HUJOOM
MERE KHAYAALON MEN KYA HAI, KISI KO KYA MAALOOM

ALLAMAL-ILM-BIL-QALAM KYAA KHOOB

ILM KAA RISHTA QALAM SE HAI QADEEM
KAAYNAATE-ILM HAI BEHAD AZEEM
HOTE HAIN DUNIYA MEN JO AHLE-QALAM
ILM RAKHTA HAI UNHEN APNA NADEEM

Wednesday, March 4, 2009

MAAWARAAYI QOOWATEN QUDRAT MEN HAIN

KAARNAAME JAB NAZAR AATE HAIN MAAFAUQ-AL-BASHAR
PAIKARE-HARAT SARAAPA KYON N HON AHLE-NAZR