FAROZAAN

Friday, November 20, 2009

MAIN BHI EK PHOOL HUN MUJH KO KOI DEKHE TO SAHI












میں بھی اک پھول ہوں مجھ کو کوئی د یکھے تو سہی

RANG BHI, NOOR BHI, NAGHAT BHI, TABASSUM BHI HAI
MAIN VO GUL HUN KE NEHAAN JIS MEN TARANNUM BHI HAI
رنگ بھی ، نور بھی ، نکہت بھی، تبسم بھی ہے
میں وہ گل ہوں کہ نہاں جس میں ترنم بھی ہے

Thursday, November 19, 2009

KANKAR SA CHUBHE PAANV MEN TO DARD N KYON HO

کنکر سا چبھے پاُؤں میں تو درد نہ کیوں ہو

MAZE SE DAUD RAHAA THA MAIN GHAAS KE OOPAR
CHUBHAA JO PAANV MEN KANKAR TO BAITHANAA HI PADA
مزے سے د وڑ رہا تھا میں گھاس کے اوپر
چبھا جو پاؤں میں کنکر تو نیتھنا ہی پڑا

YEQALAABAZIYAAN SEEKHI HAIN BADI MEHNAT SE








یہ قلابازیاں سیکھی ہیں بڑی محنت سے
NAFSE INSAAN KO HAI AZWE-BADAN PAR QUDRAT
JISM USKA HAI, DEMAAGH USAKA HAI, JAAN USKI HAI
نفس انسان کو ہے عضو بد ن پر قدرت
جسم اس کا ہے، د ماغ اس کا ہے، جان اس کی ہے

Tuesday, November 17, 2009

HAMESHA AQL KO HI APNA RAAHBAR SANJHO

ہمیشہ عقل کو ہی اپنا راہبر سمجھو
نہ جاُ و دور بہت راہ بھول سکتے ہو
قریب اُو مرے بات ما ن لو میری

N JAAO DOOR BAHOT RAAH BHOOL SAKTE HO
QAREEB AAO MERE BAAT MAAN LO MERI

WARZISHON MEN BHI MUJHE MEHSOOS HOTA HAI SUROOR

YE JISME AADAME KHAAKII BHI EK NEMAT HAI
ISE SAMBHAAL KE RAKHNAA BAHOT ZAROORI HAI




یہ جسم آدم خاکی بھی ایک نعمت ہے
اسے سنبھال کے رکھنا بہت ضروری ہے

ZINDAGI DEKHE KOI HOTI HAI KITNI KHUSHGAWAAR




ماں کے ہاتھوں میں ہے میرا ہاتھ پھر کیا غم جھے
پیا ر کا خواہاں نظر آتا ہے یہ عالم مجھے
آسمانوں سے فرشتے لے کے تصویریں مری
آے ہیں سمجھاننے اس دنیا کے پیچ و خم مجہے

Sunday, November 15, 2009

MAZE YE JIS KO MAYASSAR HON KHUSH N HO KAISE

مزے یہ جس کو میسر ہوں خوش نہ ہو کیسے
MUABBATON MEN HAI MAAN KI JAHAAN BHAR KAA KHULOOS
MILA HAI MUJH KO MUQADDAR SE IS GUHAR KAA KHULOOS

محبتوں میں ہے ماں کی جہان بھر کا خلوص
ملا ہے مجھ کو مقدر سے اس گہر کا خلوص



TAMAASHA HOGA ABHI JAB ISE UDAAUNGA تماشاہو گا ابھی جب اسے اڑاونگا

MAIN KHEL KHEL MEN IS ZINDAGI KO PADHTAA HUN
NAYE UFAQ KO NAYI ROSHNI KO PADHTA HUN
میں کھیل کھیل میں اس زندگی کو پڑھتا ہوں
ۓ افق کو نَیِِ روشنی کو پڑھتا ہوں

BAHOT UUNCHI HAI GHUBBARE KI PARWAAZ

FALAK KO CHOOTA N HOTA GIRAFT MEN YE AGAR
KE ISKE HAUSLE BEHAD BALAND RAHTE HAIN

Monday, September 21, 2009

SAMANDAR JAISI VUS'AT HOTI HAI SAAHIL KE DAAMAN MEN

سمندر جیسی وسعت ہوتی ہے ساحل کی دامن میں
RET PAR SAAHIL KI MAIN DAUDA BAHOT
MAUJON KO DARYA KI MUJH PAR RASH THAA

ریت پر ساحل کی میں دوڑا بہت
موجوں کو دریا کی مجھ پر رشک تھا

Thursday, August 27, 2009

GHAAS PAR BAITHNA HAI MERE LIYE KAIF AAWAR


HARYAALI KAHEEN BHI HO MAHEZ USKE ASAR SE
SOORSJ KI SHUAAON MEN BHI AA JAATI HAI NARMI

TITLIYAAN PAKADNE KI AARZOO HAI KYON DIL MEN

MAIN SABZA ZAARON MEN KIS KO TALAASH KARTA HUN
KOI TO HAI KE JO AATA HAI MERE KHWAABON MEN

Sunday, July 26, 2009

KAHIIN MAIN JAAUN KHUSHII MERE SAATH RAHTI HAI

SUKOON SE RAHNAA AGAR HAI TO KHUSH-MIZAAJ BANO
UDHAAR LII HUI KHUSHIYAAN THAHAR NAHIN PAATIN

Saturday, July 18, 2009

YE BHI AJAB KARISHMA HAI KUCHH GHAUR KEEJIYE

RAKH DEN JO USKE NAAM KOI KHAT YAHAAN JANAAB
PAHONCHEGA USKE HAATH MEN JAADU SE KHUD-BAKHUD

SHEESHE MEN AASMAAN BHI HAI REGZAAR BHII

HER SHAI HAI DASTRAS MEN, YAHII SOCHTAA HUAA
INSAAN JEE RAHA HAI GHALATFAHMIYON KE SAATH

Monday, June 29, 2009

KABHI MAUQA MAYASSAR HO TO IS JHOOLE PE BHI BAITHEN

BACHCHON KE JHOOLE KYA HAIN BUZURGON KO KYA PATA
VO INPE BAITHKAR TO KABHI DEKHTE NAHIN

Tuesday, June 23, 2009

BALAND KARKE MUJHE KHUSH HAIN WAALIDAA MERI

ZAMIN PE HOTA TO KUCHH DAUDTA IDHAR SE UDHAR
GIRAFT AISI HAI BE-DAST-O-PAA SA LAGTA HUN

Sunday, June 21, 2009

MERI KHAMOSHI MEN BHI EHTIJAAJ HOTA HAI

KAMAAL HAI KE SIKHATE HAIN AISA FUN MUJH KO
KE JISMEN PAHLE SE MAAHIR HUN MAIN B-HADDE-KAMAAL


KYA KHOOB MAZAA AATA HAI TASWEER-KASHI MEN

ANDAAZ TO ACHCHHA HAI, NUMAAYAAN HAI KASHISH BHI
JUMBISH N HO AB KOYI, KE MAIN LETA HUN TASWEER

IS PATTHAR KE TUKDE MEN KYA JAADU HAI

INAAYATON SE ZAMEEN KII HAI AASMAAN KA VUJOOD
ZAMEEN N HOTI TO HOTA N IS JAHAAN KA VUJOOD


Wednesday, June 17, 2009

SAFAR TAWEEL NAHIN PHIR BHI ISHTIYAAQ TO HAI

RAHE KHAYAAL TUMHEN ISKA MERE HAMSAFARO
HAMAARI RAAH MEN DUSHWAARIYAAN BHI AAYENGI

ZAROORIYAAT HAIN MAHDOOD, CHAAHTEN HAIN BAHOT

JO BAAT KAHTA HUN MAIN GHAUR KEEJIYE USPAR
KE MAIN NE PAAYI HAI QUDRAT SE FAHM-O-DAANAAYI


HAR SHAI KO MAIN PARAKHTA HUN BAAREEKIYON KE SAATH

ZAMAANA VAISE TO MERE HUNAR KA QAAYEL HAI
BATAANA HAI MUJHE HADDE-KAMAALE-AHLE-KHIRAD


Tuesday, June 9, 2009

IS UMR KE JANAAB MAZE HI KUCHH AUR HAIN

MERI HAQEEQATON KO SAMAJHNA MUHAAL HAI
AHLE-KHIRAD PAHONCH N SAKE MERE ZEHN TAK

Monday, June 8, 2009

MAIN ZINDAGI KO SABHI ZAAVIYON SE DEKHTA HUN

YE MERA IMTEHAAN HAI FIKR-O- FAN KI AAZMAAYISH HAI
MANAAZIR PUR-KASHISH HAIN JAAN-O-TAN KI AAZMAAYISH HAI


Sunday, May 10, 2009

SAMANDAR RET KO TOHFE MEN DETA HAI NAMI APNI

SANNATE NAGHMA-REZ HAIN MEETHI DHUNON KE SAATH
KITNE KHAYAAL SAATH HAIN TANHA NAHIN HUN MAIN

MAIN MAHVE-GUFTUGOO HUN SAMANDAR KI RET SE

KITNE HI NAQSH BANTE HAIN IS REGZAAR PAR
PAANI SAMANDARON KA MITAATA HAI ROZ INHEN



Monday, May 4, 2009

SOORAJ MERI PESHAANI SE LETAA HAI SHU'AAYEN

RAUSHAN HAI MERE ZEHN MEN AFKAAR KI QANDEEL
SAJDE MEN HAI SOORAJ MERI DEHLEEZE-JABEEN PAR

KHAYAALE-TAAZA MERE ZEHN MEN UBHARTA HAI

YE REGZAAR HAIN BEHTAR SAMANDARON SE KAHIN
KE IN PE NAQSH HAIN HAR TAAZA RAAH-RAU KE QADAM


Friday, May 1, 2009

SAMANDAR KA YE TOHFA DEKH KAR HAIRATZADAA HUN MAIN

SAAHIL SE KAR RAHA THA SAMANDAR JO GUFTUGOO
USMEN BAHOT SE RAAZ KE PAHLOO MILE MUJHE

SAFAR TAWEEL HAI MUJHKO KOYI SADAAYEN N DE

SAMANDARON KA HAI AFSAANA RET-RET ZAMEEN
KHABAR KISI KO NAHIN KITNE MOD HAIN ISMEN

MAIN REGZAARON MEN BHI HUSN DEKH LETA HUN

SALAAM KARTA HUN MAIN IN HASEEN FIZAAON KO
KE MUJHKO MILTI HAI INMEN HAYAAT KI KHUSHBOO

TEZ RAFTAARI KI MUTTHI MEN HAI WAQT

YE SABZ-POSH NAYAA HAMSAFAR MILAA HAI MUJHE
MAIN ISKE SAATH NAYE KHWAAB ROZ DEKHTA HUN

Tuesday, April 28, 2009

MERI KHAFGI PE TAWAJJO NAHIN DETA KOI

ZEHN MEN KHULTA HAI MERE BHI DAREECHA KOI
JIS SE MAIN DEKHTA HUN AUR HI DUNIYA KOI

Friday, April 24, 2009

TAAYER KI TARAH MAIN BHI UDOON LUTF TO JAB HAI

YE FIZAAYEN SHAHR KI AABAADIYON SE HAIN ALAG
YE ZAMEEN YE AASMAAN SAB HAIN FAQAT MERE LIYE

KISI MAJNOON PE BHALA SANG KA KYA HOGA ASAR

GHAALIB NE LADAKPAN MEN UTHAAYA THA JO PATTHAR
MUDDAT PE WAHI AAJ MERE HAATH LAGAA HAI

MAIN PARINDA HUN NASHEMAN MERA DEKHE KOYI

APNI DUNIYA HAASILE - DUNIYA LAGE
APNA GHAR JAISA BHI HO ACHCHHA LAGE

SHAFQAT KI AAGHOSH BHI HAI EHSAAS KA HAI PASMANZAR BHI

IN WAADIYON MEN AAKE MILI FIKR KO JILAA
SHAAYAD HAI INMEN NAG'HATE BOOYE-WAFA KAHIN

Sunday, April 19, 2009

KHUSH HUN KE UNKA HAATH HAI MERI GIRAFT MEN

FIZA MEN KHUSHIYAAN HI KHUSHIYAAN BIKHER KAR HAR SOO
TUMHAARE HAATHON KO MAZBOOT KAR RAHAA HUN MAIN

DHOOP KI AINAK LAGAAKAR MAIN BADA LAGNE LAGAA

DUNIYA KI TARAH MAIN BHI ZAMAANE KE SAB ATWAAR
KUCHH AUR NAYE RANG MEN AB DEKH RAHA HUN

Sunday, April 12, 2009

KYA LUTF HAI SUNTA HUN MAIN KAANON MEN JO NAGHME

TAAR SE KAANON TAK AA JAATI HAI NAGHME KII SADA

JOD KAR DEKHUNGA USSE MAIN BHI APNE DIL KE TAAR



Saturday, April 11, 2009

TEHQEEQ KI BUNIYAAD MEN HAI ZEHN KI PARWAAZ

FAHMO-IDRAAK KI SHAM'YEN HON AGAR TAABINDA
KOI SHAY BHI NAHIN INSAAN KI PAHONCH SE BAAHAR

TAMAASHA BANKE DUNIYA KE TAMAASHE DEKHTA HUN

MERE ANDAAZ NIRAALE HAIN ANOKHA HAI SHA'OOR
ZEHN SHAFFAAF HAI, HAR DAM TARO-TAAZA HAI SHA'OOR

Friday, March 27, 2009

KITNE AJAB TAMAASHE HAIN IS DHOOP-CHHAANV KE



TANHAAYIYON MEN KAR LIYA MAIN NE SUKUN TALAASH
HAR SHAY YAHAAN MERE LIYE IK ANJUMAN SI HAI

MUJHKO BHI IK KHULA HUA MAIDAAN CHAAHIYE

KAMRE MEN APNE KHELTA HUN GEND SE AGAR
KHATRA HAI KITNI CHEEZEN YAHAAN TOOT JAAYENGI


KITNE MASAAYEL GHAUR-TALAB HAIN, KIS-KIS KE HAL DHOONDHUN MAIN

MAQSAD KO RAKH KE SAAMNE HAR SHAY BANI ZAROOR
PHIR BHI HAIN USKE AUR BHI MASRAF NAYE-NAYE

Monday, March 23, 2009

HAM ITNE TAJASSUS SE N DEKHEN TO KAREN KYA

KYAA KHOOB BAATEN KARTA HAI HAR SHAKHS AAJKAL
TAQREER HAI KUCHH AUR TO KUCHH AUR HAI AMAL

Saturday, March 21, 2009

KUCHH N KUCHH KOSHISH TO KARNA CHAAHIYE

ILM KE AADAAB HAIN LAUH-O-QALAM
ILM SE RAUSHAN HAI DUNIYA-E-KARAM

HAR SHAY KA IS JEHAAN MEN HAI MAQSAD-E-VUJOOD

GHAUR-O-KHAUZ KARNE SE, RAASTE NIKALTE HAIN
YAANI AQL-O-DAANISH KE, SILSILE NIKALTE HAIN


ZINDAGI MEN SIRF JISMAANI SEHAT KAAFI NAHIN

HAUSLA HO, SHAUQ HO, UMMEED HO, IMKAAN HO
FIKR MEN HO TAAZGI, BAALIGH-NAZAR EIMAAN HO
VUS'ATEN HON QALB MEN, BEDAAR HO ZEHN-O-SHA'OOR
KAASH INSAAN KI SEHAT KA YE SAR-O-SAAMAAN HO