FAROZAAN

Wednesday, February 25, 2009

KABHI HAM BHI THE TASWEERON MEN KUCHH-KUCHH YAAD AATA HAI

RAH SAKTA HUN KIS TARH HAQEEQAT SE BAHOT DOOR
HO ILM, TO INSAAN HAI JEHAALAT SE BAHOT DOOR

TUMHAARI PYAAS KA EHSAAS HO GAYAA THA MUJHE

PIYO, KE PHIR N RAHE KOI TASHNAGI BAAQI
TUMHAARI ZEEST MEN RAH JAAYE BAS KHUSHI BAAQI

Monday, February 23, 2009

HAMAARI DUNIYA MEN BHI JHAANK KAR KABHI DEKHO

KHILAUNON KO KHILAUNE DE KE KHUSH HAIN
BUZURGON KO HAMAARE KYA HUAA HAI

Saturday, February 21, 2009

MASHROOB YE LATEEF BHI HAI PUR-MAZAA BHI HAI

MAUQA MILE TO AAP KABHI AAZMAAYIYE
MAHSOOS HOGI AAPKO NAAYAAB TAAZGI


KARTE HO AAJ TUM BHI NIHAAYAT MAZE MII BAAT

JO NAGHMA SUNNAA CHAAHTE HO TUM SUNAAUNGA
LEKIN YE WAQT GHAIR-MUNAASIB SA LAGTA HAI

MAIN CHAAHTA HUN KE ZAD MEN N MERI AAYE KOI

TEZ-RAFTAARI BAHOT ACHCHHI NAHIN
SUST-RAFTAARI MUJHE AATI NAHIN

Wednesday, February 18, 2009

MAIN DIL MEN AAJ ITMEENAAN KUCHH MAHSOOS KARTA HUN



KAR RAHE THE LOG TAAREEFEN MERI
HO GAYAA HUN AAJ-KAL HAR-DIL-AZEEZ



FAASLE NASLON KE MIT JAATE HAIN YAKSAAN PYAAS MEN

QAREEB AA GAYE LAB KOI FAASLA N RAHAA
KE DONON KO HUI MAHSOOS PYAAS SHIDDAT KII

KYA KHOOB YE ANDAAZ HAI WALLAAH MAI.N QURBAA.N

YE MAS'ALAA AHAM HAI MAI.N SULJHAAU.NGA ISE
DEKHENGE LOG MERI BHI FIKRE-RASAA KO AAJ

Tuesday, February 17, 2009

KAMZOR HO RAHI HAI MERI YAD-DAASHT KYO.N ?

RAHTA THAA USKE PHONE KA NUMBER ZABAAN PAR

AB YAAD KAR RAHA HU.N TO AATA NAHIN HAI YAAD


MAHFOOZ KAR CHUKA HUN JO ASHYAA HAIN QEEMTI

HAR SHAKHS KE LIYE YAHAA.N LAAZIM HAI IHTIYAAT
MUJHKO MERE BUZURGO.N KI TAALEEM HAI YAHI

MAIN USKE GHAR SE CHALAA AAYA USKI YAAD LIYE

DILO-DIMAAGH MEN KITNE HI KHWAAB PALTE HAIN
UNHEN PHIR AAJ SE TARTEEB DE RAHA HUN MAIN



Monday, February 16, 2009

GAATA NAHIN MAIN GEET KABHI HUSNO-ISHQ KE

ZINDAA HAI MERE NAGHMON SE KHUSHBOO GULAAB KI
HAR LAFZ MEN NIHAAN HAI KIRAN AAFTAAB KI

MUNH MEN BHAR AAYA HO PAANI TO MERE PAAS AAO

YE APNA-APNA ZAUQ HAI, APNI PASAND HAI
MAUQA MILE TO DEKHIYE CHAKH KAR KABHI ISE

RAFTAAR MEN YE GHODA HAVAAON SE TEZ HAI

CHALOGE SAATH TO AAO MAIN LE CHALUN TUMKO
JAHAAN KII SAIR KARAA LAAUNGA MAIN PAL BHAR MEN

HIMMAT HO, DIL MEN SHAUQ HO, KUCHH HAUSLAA BHI HO
PHIR KYA HAI, ZINDAGI MEN UDAANEN BHARENGE HAM

AB DEKHIYE KE MERE IRAADE HAIN AAJ KYA

YE SACH HAI JISM SE MAIN BAZAAHIR HUN KUCHH NAHEEF
POSHEEDA FIKR MEN HAIN TAWAANAAYIYAAN MERI

JO DEKHTA HUN USKO NAZAR MEN SAMET LUN

DEEWAR PAR HAI SAAF IBAARAT LIKHI HUI
MAIN HI VO KAL HUN JISKI JAHAAN KO TALAASH HAI

JAWAAB MERA NAHIN KOI SHAH-SAWAARI MEN

JAHAAN KO DOSH PE APNE UTHAAYE RAHTA HUN
MAIN KHUD MEN EK SAMANDAR CHHUPAAYE RAHTA HUN

Wednesday, February 11, 2009

HARYAALIYAAN HON KAISI BHI, HOTI HAIN DIL-AZEEZ

YE QAIDO-BAND KYON HAI, YE PAABANDIYAAN HAIN KYON
BAAHAR KI HAI FIZAAON MEN KUCHH AUR HI KASHISH

KYON DE RAHA HUN ZOR MAIN APNE DAMAAGH PAR

HAAN! YAAD AAYA, CEEDEE YAHI THI JISE MAIN KAL
LAAYAA THA DEKHNE KE LIYE ZAUQ-SHAUQ SE

UDHAR BHI KOI HAI MERI TARAH KHAYAALON MEN

KUCHH TO HAI USMEN AISA, KE MERI NAZAR USE
HAR BAAR DEKHTI HAI, NAYE ZAAVIYE KE SAATH



Tuesday, February 10, 2009

KHUSH RAHNA EK FUN HAI, SIKH DUUN MAIN AAPKO ?

HAM ZINDAGI KO JEETE HAIN FAUKAAR KII TARAH
HAR LAMHA ISKA HAI GULO-GULZAAR KII TARAH

Monday, February 9, 2009

MAIN PADHNE JAA RAHA HUN, N AAWAAZ DO MUJHE

JI HAAN, BAHOT HI UMDA KITAABEN HAIN MERE PAAS
LAAYE HAIN AAP INKO SAMAJHKAR MERA MIZAAJ

AANA TO USKO BHI THA YE TAAKHEER KYON HUI

PEECHHE BHI MUD KE DEKHNA LAAZIM HAI IS JAGAH
MUMKIN HAI KOI AATAA HO MERE LIYE YAHAAN

MAZE HAIN UNKE JO KURSI-NASHEEN HOTE HAIN

FIKR KO MILTI HAI VUS'AT JAAGTA HO GAR SH' OOR
JO HAIN KHWABEEDA FAQAT GHAFLAT HAI UNKI ZINDAGI

Sunday, February 8, 2009

MUJHE TAALEEM MAAN NE DI HAI WARZISH KARTE RAHNE KI

KHULI HAVAAON MEN EHSAASE-TAAZGI HAI BAHOT
MERA HAI NAFS BAHOT MUTM'YIN KHUSHI HAI BAHOT

MAIN AKSAR DEKHTA HUN AASMAANON MEN NAYI HALCHAL

ABHI KITNE YAHAAN MAAHAULIYAATI TAJRUBE HONGE
KHULEGI PHIR KAHIN JAAKAR HAQEEQAT AASMAANON KI


YE KIS MAQSAD SE HAI, KYON HAI, MUJHE KUCHH SOCHNAA HOGA

KOI BHI SHAI HO DIL KAHTA HAI BE-MASRAF NAHIN HOTI
MUJHE MAALOOM KARNA HAI, YAHAAN KYA KAAM THA ISKA

DILCHASPIYAAN NAHIN HAIN MERI KHEL-KOOD MEN

KITNE RUMOOZ HAIN JO KHALAAON MEN HAIN CHHUPE
BAS DEEDAVAR HI JAANTE HAIN KYA KAHAAN PE HAI

MAIN BHI ZARAA SAMAJH LUN YE TAKNEEK KAA KAMAAL

RAKHTAA NAHIN YAQEEN MAIN NAAMUMKINAAT MEN
INSAAN KII GIRAFT SE BAAHAR NAHIN HAI KUCHH

YE KITAABEN RAASTAA HAIN, MANZILEN KUCHH AUR HAIN

ILM KAA IZHAAR HOTA HAI KITAABON MEN ZAROOR
BAAKHABAR KOI NAHIN IS ILM KE WIJDAAN SE

Saturday, February 7, 2009

SHAAYAD HO INTEZAAR MERE PHONE KAA USE

HAIRAT HAI MERE PHONE MEN SIM CARD HI NAHI
AAWAZ MERI SUNNE KA VO HOGA MUNTAZIR

CHAMMACH THAMAA KE HAATH MEN BAHLAA RAHE HAIN LOG

KYA GHAURO-KHAUZ KEEJIYE DUNIYA AJEEB HAI
SAB KHUSH HAIN, GOYAA MAIN HUN ZAMAANE SE BE-KHABAR

Thursday, February 5, 2009

IS TARH DEKH KAR MUJHE HAIRAT N KEEJIYE

DHOTE HAIN SAB ZUROOF ISI AABSHAAR MEN
MAIN BHI HUN EK ZARF JO PUR HAI HAYAAT SE
zuroof=bartanon, aabshaar=vaise to aabshaar ke maani jharne ke hote hain, lekin yahaan muraad dish washer se hai. zarf=bartan, pur=bhara hua, hayaat=zindagi.

KIS QADAR LAGTA HAI ACHCHHA MUJHKO AABAAYI WATAN

WAISE JO SOCHIYE TO HAI SAARA JAHAAN AZEEZ
PAR MUJHKO DIL SE HAI MERA HINDOSTAAN AZEEZ

AB YE KHABAR HUI KE ZAKHEERA YAHAAN PE HAI


YUN DEKHIYE N MUJHKO, KE MERI PASAND KII.
ASHYAA YAHAAN HAIN JO BHI UNHEN CHUN RAHA HUN MAIN.

Wednesday, February 4, 2009

TAFREEQE-RANGO-BOO NAHIN KARTE KABHI YE GUL

RANGAT HAI SIRF, KOI BHI KHUSHBOO NAHIN YAHAAN
HAR PHOOL ZINDAGI KI ALAAMAT N BAN SAKAA.

KYA AA GAYA ZAMAANA KE MASROOF HAIN SABHI

MAIN SOCHTA HUN HAATH MEN LEKAR TUMHAARA KHAT
ACHCHHA LAGE TUMHEN BHI KUCHH AISA JAWAAB DUN.

TUB MEN NAHAA KE DEKHUN TO AAYEGA LUTF AUR

HAAN KARNE DEEJIYE MUJHE AB YE BHI TAJRUBAA
DEKHUN TO KYA MAZE HAIN NIZAAME-JADEED KE

HAR SHAKHS KO YE LAZZATE-NAADIR KAHAAN NASEEB

TAHQEEQ KA KHAMEER MEN INSAAN KE HAI VUJOOD.
LEKIN VO APNI ZAAT KO PAHCHAANTA NAHIN.

KHUSHI KE LAMHE ZAROORI HAIN ZINDAGI KE LIYE

SAAMNE GAR KOI SHAI AISI HO JO ACHCHHI LAGE
ZINDAGI MAAHAUL KE EHSAAS KO CHHOOTI LAGE

HAIRATZADA NAHIN HUN, MAZE LE RAHA HUN MAIN


MAIN BAAR-BAAR JAHAAN KE TMAASHE DEKHTA HUN
HAR EK SHAI KO YAHAAN KHUL KE HANSTE DEKHTA HUN