FAROZAAN

Monday, June 29, 2009

KABHI MAUQA MAYASSAR HO TO IS JHOOLE PE BHI BAITHEN

BACHCHON KE JHOOLE KYA HAIN BUZURGON KO KYA PATA
VO INPE BAITHKAR TO KABHI DEKHTE NAHIN

Tuesday, June 23, 2009

BALAND KARKE MUJHE KHUSH HAIN WAALIDAA MERI

ZAMIN PE HOTA TO KUCHH DAUDTA IDHAR SE UDHAR
GIRAFT AISI HAI BE-DAST-O-PAA SA LAGTA HUN

Sunday, June 21, 2009

MERI KHAMOSHI MEN BHI EHTIJAAJ HOTA HAI

KAMAAL HAI KE SIKHATE HAIN AISA FUN MUJH KO
KE JISMEN PAHLE SE MAAHIR HUN MAIN B-HADDE-KAMAAL


KYA KHOOB MAZAA AATA HAI TASWEER-KASHI MEN

ANDAAZ TO ACHCHHA HAI, NUMAAYAAN HAI KASHISH BHI
JUMBISH N HO AB KOYI, KE MAIN LETA HUN TASWEER

IS PATTHAR KE TUKDE MEN KYA JAADU HAI

INAAYATON SE ZAMEEN KII HAI AASMAAN KA VUJOOD
ZAMEEN N HOTI TO HOTA N IS JAHAAN KA VUJOOD


Wednesday, June 17, 2009

SAFAR TAWEEL NAHIN PHIR BHI ISHTIYAAQ TO HAI

RAHE KHAYAAL TUMHEN ISKA MERE HAMSAFARO
HAMAARI RAAH MEN DUSHWAARIYAAN BHI AAYENGI

ZAROORIYAAT HAIN MAHDOOD, CHAAHTEN HAIN BAHOT

JO BAAT KAHTA HUN MAIN GHAUR KEEJIYE USPAR
KE MAIN NE PAAYI HAI QUDRAT SE FAHM-O-DAANAAYI


HAR SHAI KO MAIN PARAKHTA HUN BAAREEKIYON KE SAATH

ZAMAANA VAISE TO MERE HUNAR KA QAAYEL HAI
BATAANA HAI MUJHE HADDE-KAMAALE-AHLE-KHIRAD


Tuesday, June 9, 2009

IS UMR KE JANAAB MAZE HI KUCHH AUR HAIN

MERI HAQEEQATON KO SAMAJHNA MUHAAL HAI
AHLE-KHIRAD PAHONCH N SAKE MERE ZEHN TAK

Monday, June 8, 2009

MAIN ZINDAGI KO SABHI ZAAVIYON SE DEKHTA HUN

YE MERA IMTEHAAN HAI FIKR-O- FAN KI AAZMAAYISH HAI
MANAAZIR PUR-KASHISH HAIN JAAN-O-TAN KI AAZMAAYISH HAI