FAROZAAN

Tuesday, April 28, 2009

MERI KHAFGI PE TAWAJJO NAHIN DETA KOI

ZEHN MEN KHULTA HAI MERE BHI DAREECHA KOI
JIS SE MAIN DEKHTA HUN AUR HI DUNIYA KOI

Friday, April 24, 2009

TAAYER KI TARAH MAIN BHI UDOON LUTF TO JAB HAI

YE FIZAAYEN SHAHR KI AABAADIYON SE HAIN ALAG
YE ZAMEEN YE AASMAAN SAB HAIN FAQAT MERE LIYE

KISI MAJNOON PE BHALA SANG KA KYA HOGA ASAR

GHAALIB NE LADAKPAN MEN UTHAAYA THA JO PATTHAR
MUDDAT PE WAHI AAJ MERE HAATH LAGAA HAI

MAIN PARINDA HUN NASHEMAN MERA DEKHE KOYI

APNI DUNIYA HAASILE - DUNIYA LAGE
APNA GHAR JAISA BHI HO ACHCHHA LAGE

SHAFQAT KI AAGHOSH BHI HAI EHSAAS KA HAI PASMANZAR BHI

IN WAADIYON MEN AAKE MILI FIKR KO JILAA
SHAAYAD HAI INMEN NAG'HATE BOOYE-WAFA KAHIN

Sunday, April 19, 2009

KHUSH HUN KE UNKA HAATH HAI MERI GIRAFT MEN

FIZA MEN KHUSHIYAAN HI KHUSHIYAAN BIKHER KAR HAR SOO
TUMHAARE HAATHON KO MAZBOOT KAR RAHAA HUN MAIN

DHOOP KI AINAK LAGAAKAR MAIN BADA LAGNE LAGAA

DUNIYA KI TARAH MAIN BHI ZAMAANE KE SAB ATWAAR
KUCHH AUR NAYE RANG MEN AB DEKH RAHA HUN

Sunday, April 12, 2009

KYA LUTF HAI SUNTA HUN MAIN KAANON MEN JO NAGHME

TAAR SE KAANON TAK AA JAATI HAI NAGHME KII SADA

JOD KAR DEKHUNGA USSE MAIN BHI APNE DIL KE TAAR



Saturday, April 11, 2009

TEHQEEQ KI BUNIYAAD MEN HAI ZEHN KI PARWAAZ

FAHMO-IDRAAK KI SHAM'YEN HON AGAR TAABINDA
KOI SHAY BHI NAHIN INSAAN KI PAHONCH SE BAAHAR

TAMAASHA BANKE DUNIYA KE TAMAASHE DEKHTA HUN

MERE ANDAAZ NIRAALE HAIN ANOKHA HAI SHA'OOR
ZEHN SHAFFAAF HAI, HAR DAM TARO-TAAZA HAI SHA'OOR