FAROZAAN

Sunday, May 10, 2009

SAMANDAR RET KO TOHFE MEN DETA HAI NAMI APNI

SANNATE NAGHMA-REZ HAIN MEETHI DHUNON KE SAATH
KITNE KHAYAAL SAATH HAIN TANHA NAHIN HUN MAIN

MAIN MAHVE-GUFTUGOO HUN SAMANDAR KI RET SE

KITNE HI NAQSH BANTE HAIN IS REGZAAR PAR
PAANI SAMANDARON KA MITAATA HAI ROZ INHEN



Monday, May 4, 2009

SOORAJ MERI PESHAANI SE LETAA HAI SHU'AAYEN

RAUSHAN HAI MERE ZEHN MEN AFKAAR KI QANDEEL
SAJDE MEN HAI SOORAJ MERI DEHLEEZE-JABEEN PAR

KHAYAALE-TAAZA MERE ZEHN MEN UBHARTA HAI

YE REGZAAR HAIN BEHTAR SAMANDARON SE KAHIN
KE IN PE NAQSH HAIN HAR TAAZA RAAH-RAU KE QADAM


Friday, May 1, 2009

SAMANDAR KA YE TOHFA DEKH KAR HAIRATZADAA HUN MAIN

SAAHIL SE KAR RAHA THA SAMANDAR JO GUFTUGOO
USMEN BAHOT SE RAAZ KE PAHLOO MILE MUJHE

SAFAR TAWEEL HAI MUJHKO KOYI SADAAYEN N DE

SAMANDARON KA HAI AFSAANA RET-RET ZAMEEN
KHABAR KISI KO NAHIN KITNE MOD HAIN ISMEN

MAIN REGZAARON MEN BHI HUSN DEKH LETA HUN

SALAAM KARTA HUN MAIN IN HASEEN FIZAAON KO
KE MUJHKO MILTI HAI INMEN HAYAAT KI KHUSHBOO

TEZ RAFTAARI KI MUTTHI MEN HAI WAQT

YE SABZ-POSH NAYAA HAMSAFAR MILAA HAI MUJHE
MAIN ISKE SAATH NAYE KHWAAB ROZ DEKHTA HUN